Roman script

ae mere dil kahi aur chal

gam ki duniya se dil bhar gaya

dhundh le ab koyi ghar nayaa

ae mere dil kahi aur chal

gam ki duniya se dil bhar gaya

dhundh le ab koyi ghar nayaa

ae mere dil kahi aur chal

chal jahaa gam ke maare naa ho

jhuthi aashaa ke taare naa ho

chal jahaa gam ke maare naa ho

jhuthi aashaa ke taare naa ho

jhuthi aashaa ke taare naa ho

un bahaaron se kyaa faayda

jis mein dil ki kali jal gayi

jakhm fir se haraa ho gaya

ae mere dil kahi aur chal

chaar aansu koi ro diyaa

fer ke muh koi chal diyaa

chaar aansu koi ro diyaa

fer ke muh koi chal diyaa

fer ke muh koi chal diyaa

loot raha thaa kisi kaa jahaa

dekhati rah gayi ye jamin

chup rahaa beraham aasmaa

ae mere dil kahi aur chal

gam ki duniya se dil bhar gaya

dhundh le ab koyi ghar nayaa

ae mere dil kahi aur chal

Explore this song