Roman script

khoya khoya chand khula aasman 

aankho mein saari raat jayegi

tumko bhi kaise nind aayegi ho 

khoya khoya chand khula aasman 

masti bhari hawa jo chali 

khil khil gayi ye dil ki kali 

man ki gali mein hai khalbali

ki unko to bulaao o ho 

khoya khoya chand khula aasman 

taare chale najare chale 

sang sang mere wo saare chale 

chaaro taraf ishaare chale 

kisi ke tto ho jaao o ho 

khoya khoya chand khula aasman 

aisi hi raat bhigi si raat 

hatho mein hath hote wo sath

kah lete unse dil ki ye baat 

ab to na sataao o ho 

khoya khoya chand khula aasman 

ham mit chale jiske liye 

bin kuch kahe wo chup chup rahe 

koi jara ye unse kahe 

na aise aajmaao o ho 

khoya khoya chand khula aasman

Explore this song