Roman script

phul khilega baagon mein jab tak gulab ka pyara 

tab tak jinda hai dharti par nehru naam tumhara

jab tak hai is jag mein chanda suraj ka ujiyara 

tab tak jinda hai dharti par chacha naam tumhara

humko hain dukh humne kho dala apna humjoli 

jiske sath diwali thi jiske sang khele holi 

kaun bada ab hum jaisa banke khilwaad karega 

pyar karega jhagadega jhuthi takraar karega 

khelega jag ke aangan mein jab tak bachpan pyara 

tab tak jinda hai dharti par chacha naam tumhara

kaun mangaakar dega humko bhalu hathi chite 

bachpan ke din apne to bachpan se pahle bite 

kaun hume chitthi likhega pyar bhari bhasha mein 

haay tumhe bhi hum likh pate kash aur tum jite 

jab tak bachche muskayenge yun mirmal jaldhara 

tab tak jinda hai dharti par chacha naam tumhara

wo muskan hamare hriday jitne wali 

wo gussa jo sheetal hain jaise barkha matwali 

wo ghudki jo sikhlati hain sabak yaad kar lena 

wo baate jaise bikhraye phul phul ki dali 

yaad aayengi jab tak dukh mein degi yaad sahara 

tab tak jinda hai dharti par chacha naam tumhara

phul khilega baagon mein jab tak gulab ka pyara 

tab tak jinda hai dharti par chacha naam tumhara

chale gaye ho lakin lagta hai tum yahi chhupe ho 

jaise hum bachcho se aankh micholi khel rahe ho 

bagiyan ke phulon mein bikhari hai muskan tumhari 

hadiyon ke sang chalte ho prvat ke sath khade ho 

jab tak baki hai duniya mein jo kuch bhi hain pyara 

tab tak jinda hai dharti par chacha naam tumhara

kabhi na bhulenge hum tumne itna pyar diya hain 

kabhi na murjhayega tumne jo guljaar diya hain 

hume tumhari yaadon ki saugandh ke hum bachche bhi 

yogay banenge uske tumne jo sansaar diya hain 

jab tak mehnat ke haathon jayega vishv sanwara

tab tak jinda hai dharti par chacha naam tumhara

hum sachche insan bane hum dost bane viswasi 

hum chahe jo hum pahle ho achchhe bharatvasi 

kabhi na ho ab jung zameen par desh rahe sab milkar 

jung ek hi ho duniya mein bhukh rog aur upkar 

jab tak bahti hai is duniya mein ganga ki dhara 

tab tak jinda hai dharti par chacha naam tumhara

phul khilega baagon mein jab tak gulab ka pyara 

tab tak jinda hai dharti par chacha naam tumhara

tab tak jinda hai dharti par chacha naam tumhara

tab tak jinda hai dharti par chacha naam tumhara

Explore this song