Roman script

gham ki andheri raat mein

dil ko na beqaraar kar

subah zarur aayegi

subah ka intazaar kar

gham ki andheri raat mein

dard hai saari zindagi

jiska koi sila nahi

dil ko fareb dijiye

aur ye hausala nahi

aur ye hausala nahi

khud se to badaguma na ho

khud pe to aitabaar kar

subah zarur aayegi

subah ka intazaar kar

gham ki andheri raat mein

khud hi tadap ke rah gaye

dil ki sada se kya mila

aag se khelate rahe

hum ko wafa se kya mila

hum ko wafa se kya mila

dil ki lagi bujha na de

dil ki lagi se pyaar kar

subah zarur aayegi

subah ka intazaar kar

gham ki andheri raat mein

dil ko na beqaraar kar

subah zarur aayegi

subah ka intazaar kar

gham ki andheri raat mein

Explore this song