Roman script

laadli mere najo ki pali 
teri doli chali wo kyu aali
laadli mere najo ki pali 
teri doli chali wo kyu aali
baap dada ki tu laaz rakhna 
naam roshan ho wo kaam karna
laadli mere najo ki pali 
teri maiya ka hai ye hi kahna 
apne sartaj ke hi dil mein rahna
de raha hai mera dil duaaye 
teri duniya mein dhukhde na aaye 
meri bachchi salamat rahe tu 
apni bagiya me phoole phale tu   
laadli mere najo ki pali 
teri doli chali wo kyu aali

Song details

Song video

Watch on YouTube