Roman script

us bazm me mujhe nahi banati hayaa kiye

baithaa rahaa agarache ishaare huaa kiye

kis roz tohamate na taraashaa kiye huzur

kis din hamaare sar pe na aare chalaa kiye

zid ki hai aur baat magar khubari nahi

bhule se usane saikado waad-e-wafaa kiye

'gaalib' tumhi kaho ke milegaa jawaab kyaa

maanaa ke tum kahaa kiye aur wo sunaa kiye

maanaa ke tum kahaa kiye aur wo sunaa kiye

us bazm me mujhe nahi banati hayaa kiye

Explore this song