Roman script

na tha kuch to khuda tha, kuch na hota to khuda hota

duboya mujhko hone ne, na hota main to kya hota

hua jab ghum se yu bebas, to ghum kya sar ke katne ka

na hota agar juda tan se, to jaano par dhara hota

huyi muddat ke gaalib mar gaya par yaad aata hai

wo har ek baat per kahna ke yu hota to kya hota

Explore this song