Roman script

thandi hawao me taro ki chhav me

aaj balam mera dole jiya

tum jo ho baaho me meri nigaho me

aaj basa hai sansar naya

thandi hawao me taro ki chhav me

aaj balam mera dole jiya

tum jo ho baaho me meri nigaho me

aaj basa hai sansar naya

raat ka aisa sama aayega ye phir kaha

pyar ke luto maze hai abhi ye dil jawa

pyara zamana hai dil ye diwana hai

ched zara koi geet naya

thandi hawao me taro ki chhav me

aaj balam mera dole jiya

kah rahi hai ye juban pyar ki ik dasta

sun rahi hai ye zami sun raha hai aasman

chand sitaro ne rangi baharo ne

raaz e dil mera khol diyaa

thandi hawao me taro ki chhav me

aaj balam mera dole jiya

tum jo ho baaho me meri nigaho me

aaj basa hai sansar naya

Explore this song