Roman script

mu: saavan kaa mahinaa, pavan kare sor

la: pavan kare shor

mu: pavan kare sor

la: pavan kare shor

mu: are baba shor nahi sor, sor, sor

la: pavan kare sor

ha, jiyaraa re jhume aise, jaise banamaa naache mor

ho saavan kaa mahinaa 

maujavaa kare kyaa jaane, hamako ishaaraa

jaanaa kahaan hai puchhe, nadiyaa ki dhaaraa

marazi hai tumhaari, le jaao jis or

jiyaraa re jhume aise 

raamaa gajab dhaae, ye purava_iyaa

na_iyaa sambhaalo kit, khoe ho khiva_iyaa

purava_iyaa ke aage, chale naa koi zor

jiyaraa re jhume aise 

jinake balam bairi, gae hai bidesavaa

laai hai jaise unake, pyaar kaa sadesavaa

kaali adhiyaari, ghataae ghanaghor

jiyaraa re jhume aise

Explore this song