Roman script

o mere bichade balam o mere bichade balam

tune kaisa diya gham lut gaye ham 

in aasuo ki kasam o mere bichade balam

ek pal bhi na hame khushi ka mila

jindagi se bata de hame kya mila

ek pal bhi na hame khushi ka mila

jindagi se bata de hame kya mila

mujhpe tera ye sitam lut gaye ham

in aashuo ki kasam o mere bichade balam

tha yakin tu hame chhod sakta nahi

tha yakin tu hame chhod sakta nahi

dil hai najuk kabhi tod sakta nahi

kaisa tuta bharm in aankho ki kasam

o mere bichhde balam

hasrato ka chaman aaj lutne laga

ab to aaja ke dham mera ghutne laga

hasrato ka chaman aaj lutne laga

ab to aaja ke dham mera ghutne laga

kahi dil na jaye tham

in aashuo ki kasam o mere bichade balam

tumhe kaisa diya gham lut gaye ham 

in aasuo ki kasam o mere bichade balam

Explore this song