Roman script

nazro me samane se qaraar aa na sakega

tum paas nahi dil ko ye bahla na sakega

tasvir nigaho me khaamosh tumhaari

jo sun nahi sakti kabhi fariyad hamaari

ye khali tasavvur kisi kaam aa na sakega

tum paas nahi dil ko ye bahla na sakega

nazro me samane se qaraar aa na sakega

tum paas nahi dil ko ye bahla na sakega

aayega khayal aake oh oh oh

aayega khayaal aake guzarta hi rahega

aahe koi dil thaam ke bharta hi rahega

taskin ki surat koi batla na sakega

tum paas nahin dil ko ye bahala na sakega

nazro me samane se qaraar aa na sakega

tum paas nahi dil ko ye bahla na sakega

takaraayenge ham sar kabhi divaar se dar se

har saans me ublega lahu zakhm-e-jigar se

dil dhundhega aa aa aa

dil dhundhega tadpega tumhe pa na sakega

tum paas nahin dil ko ye bahala na sakega

nazro me samane se qaraar aa na sakega

tum paas nahi dil ko ye bahla na sakega

Explore this song