Roman script

kyu dil mera kyu dil mera tadpaati hai 
tasweer teri takdeer meri
kyu bhuli yaad dilati hai 
tasweer teri takdeer meri
kyu dil mera tadpaati hai 
tasweer teri takdeer meri
ham pahla gam na bhul sake
kyu aur jalane aaye ho 
basti to dil ki ujad chuki 
kyu ise basaane aaye ho 
kya mithe khwab dikhati hai 
tasweer teri takdeer meri
kyu dil mera tadpaati hai 
tasweer teri takdeer meri
tum aag laga kar chale gaye
ham dhire dhire jalte hai 
ek huk si man mein uthati hai
aankho mein ashk machalte hai 
kyu baar baar bahkati hai
tasweer teri takdeer meri
kyu dil mera kyu dil mera tadpaati hai 
tasweer teri takdeer meri
kyu bhuli yaad dilati hai 
tasweer teri takdeer meri

Song details

Song video

Watch on YouTube