Roman script

nazar nawaz nazaro me kho gaya hu mai

inhi hasin baharo me kho gaya hu mai 

nazar nawaz nazaro me kho gaya hu mai

har ek phul mahakta hua sharara hai

har ek jarra chamakta hua sitara hai

inhi jami ke sitaro me kho gaya hu mai

nazar nawaz nazaro me kho gaya hu mai

kabhi hawa ne lagi or bhi laga di hai

kabhi ghata ne tadap kar mujhe sada di hai

kabhi nadi ki pitkaro me kho gaya hu mai

nazar nawaz nazaro me kho gaya hu mai

har ek chiz me aae husn tujhko dhunda hai

tujhi ko pyar kiya hai tujhi ko pooja hai

teri rahgujar me kho gaya hu mai

nazar nawaz nazaro me kho gaya hu mai

Explore this song