Roman script

mujhape ilzaam-e-bewafai hai

mujhape ilzaam-e-bewafai hai 

ai muhabbat teri duhai hai

mujhape ilzaam-e-bewafai hai 

usane thani hai zulm dhane ki

mujh me himmat hai gam uthane ki

khush ho, ai dil tujhe mitane ki, mitane ki

aaj usane qasam to khai hai

ai muhabbat teri duhai hai

mujhape ilzam-e-bewafai hai 

tu hua dil se kab juda kah de

mujhase kyun ho gaya khafa kah de

tu hi isaf se zara kah de, zara kah de

kisane shart-e-wafa bhulai hai

ai muhabbat teri duhai hai

mujhape ilzam-ebewafai hai 

hai gawara tera sitam mujh ko

har jafa hai teri karam mujh ko

jaan jaae, nahi hai gam mujh ko

jab muhabbat pe bat aai hai

ai muhabbat teri duhai hai

mujhape ilzaam-e-bewafai hai

Explore this song