Roman script

koi ikraar kare ya koi inkaar kare

hum se ek baar, nigahe to jara char kare

tum hasi ho tumhe sab dil me jagah dete hain

hum me kya baat hain, aisi jo koi pyar kare

main tumhi se puchhti hu, mujhe tum se pyar kyu hain

kabhi tum daga na doge, mujhe aitbaar kyu hain

main tumhi se puchhti hu, mujhe tum se pyar kyu hain

kabhi tum daga na doge, mujhe aitbaar kyu hain

main tumhi se puchhti hu

mujhe kyu pukarti hain, ye jawa jawa fijaye

mujhe mil gayi kahan se, ye hasi hasi adaye

ye hasi hasi adaye

meri zindagi pe chhayi, ye nayi bahare kyu hain

main tumhi se puchhti hu, mujhe tum se pyar kyu hain

kabhi tum daga na doge, mujhe aitbaar kyu hain

main tumhi se puchhti hu

jo kadam utha rahi hu, wo kadam bahak raha hain

mile tum se kya nigahe, mera dil dhadak raha hain

mera dil dhadak raha hain

mere dil pe hath rakh do, tumhe intjaar kyu hain

main tumhi se puchhti hu, mujhe tum se pyar kyu hain

kabhi tum daga na doge, mujhe aitbaar kyu hain

main tumhi se puchhti hu

tumhi samne ho mere, main jidhar najar uthau

tumhe bhulana bhi chahu, to kabhi na bhul paau

to kabhi na bhul paau

mere dil pe haye itna tumhe ikhthiyar kyu hain

main tumhi se puchhti hu, mujhe tum se pyar kyu hain

kabhi tum daga na doge, mujhe aitbaar kyu hain

main tumhi se puchhti hu

Explore this song