Roman script

tvmev mata ch pita tvmev 

tvmev bandhu ch sakha tvmev 

tvmev vidhya drvidam tvmev 

tvmev sarvm mamdev dev 

jinke hriday shri ram base 

tum aur ko naam liyo na liyo 

jinke hriday shri ram base 

tum aur ko naam liyo na liyo 

jinke hriday shri ram

koi maange kanchan ki kaya 

koi maang raha prabhu se maya 

koi punay kare koi daan kare 

koi daan ka roz bakhan kare 

jin kanya dhan ko daan diyo 

jin kanya dhan ko daan diyo 

un aur ko daan diyo na diyo 

jinke hriday shri ram base 

koi ghar mein baitha naman kare 

koi hari mandir mein bhajan kare 

koi ganga jamuna snaan kare 

koi kashi ja ke dhyan dhare 

jin maat pita ki sewa ki 

jin maat pita ki sewa ki 

un tirath snaan kiyo na kiyo 

jinke hriday shri ram base 

tum aur ko naam liyo na liyo 

jinke hriday shri ram

Explore this song