Roman script

har dil jo pyar karega voh gaana gayega

har dil jo pyar karega voh gaana gayega

deewana sekdon me pehchana jayega 

deewana sekdon me pehchana jayega, deewana

aap hamare dil ko churakar aankh churaye jate hai

yeh ek tarfa rasm-e-vafa hum phir bhi nibhaye jate hai

chahat ka dastoor hai lekin aap ko hi maloom nahi, o

jis mehfil me shamma ho parwana jayega

deewana sekdon me pehchana jayega, deewana

har dil jo pyar karega voh gaana gayega

deewana sekdon me pehchana jayega, deewana

bhooli bisri yade meri hanste gaate bachpan ki

raat beraat chali aati hai neend churane nainan ki

ab keh doongi karte karte kitne sawan beet gaye, ho

jane kab in aankho ka sharmana jayega

deewana sekdon me pehchana jayega, deewana

har dil jo pyar karega voh gaana gayega

deewana sekdon me pehchana jayega, deewana

apni apni sabne keh li, lekin hum chupchap rahe

dard paraya jisko pyara, voh kya apni baat kahe

khamoshi ka yeh afsana reh jayega baad mere, o

apna ke har kisi ko begana jayega

deewana sekdon me pehchana jayega

har dil jo pyar karega voh gaana gayega

deewana sekdon me pehchana jayega, deewana, deewana

Explore this song