Roman script

ek pyar ka nagma hai, maujon ki ravani hai 

zindagi aur kuch bhi nahi, teri meri kahani hai

zindagi aur kuch bhi nahin teri meri kahani hai

ek pyar ka nagma hai

la la la la la la, la la la la la la

kuch pakar khona hai, kuch khokar pana hai

jeevan ka matlab to ana aur jana hai

do pal ke jeevan se ek umr churani hai

zindagi aur kuch bhi nahi, teri meri kahani hai

ek pyar ka nagma hai

tu dhar hai nadiya ki, main tera kinara hoon

tu mera sahara hai, main tera sahara hoon

ankhon mein samandar hai, ashaon ka pani hai

zindagi aur kuch bhi nahi, teri meri kahani hai

ek pyar ka nagma hai

toofan to ana hai, akar chale jana hai

badal hai yeh kuch pal ka, chhakar dhal jana hai

parchhaniyan reh jati, reh jati nishani hai

zindagi aur kuch bhi nahi, teri meri kahani hai

ek pyar ka nagma hai, maujon ki ravani hai

zindagi aur kuch bhi nahi, teri meri kahani hai

ek pyar ka nagma hai

Explore this song