Roman script

aa ha aa

dur bahut aabadi se ishk ki rangin vadi se

ye kaun sada deta hai

pyar bhara ek dil hoga ya koyi bismil hoga

jo apna pata deta hai

lehrati si ye raahe na jane kisko chaahe 

kiske didar ki pyasi hain inki khuli nigaahe 

aas lagaye baithe rehna bhi to maja deta hai

dur bahut aabadi se ishk ki rangin vadi se

yeh kaun sada deta hai

pyar bhara ek dil hoga ya koyi bismil hoga

jo apna pata deta hai

aa ha aa

yeh parvat unche-unche kamoshi ke afasane 

kyo dur khade basti se honge ye bhi diwane 

jane kis kisko diwana pyar bana deta hai

dur bahut aabadi se ishk ki rangin vadi se

yeh kaun sada deta hai

pyar bhara ek dil hoga ya koyi bismil hoga

jo apna pata deta hai

Explore this song