Roman script

do kadam tum bhi chalo, do kadam ham bhi chale

manjile pyar ki

manjile pyar ki aayengi chalte-chalte

kal tak toh anjan thi hamse raahe pyar ki

hamse raahe pyar ki

lekin apni ho gaye abb toh baahe pyar ki

abb toh baahe pyar ki

abb hame yeh jahan

abb hame yeh jahan dekhega jalte-jalte

do kadam tum bhi chalo, do kadam ham bhi chale

do kadam tum bhi chalo, do kadam ham bhi chale

meri jo bhi soch thi uska hi tum rup ho

uska hi tum rup ho

mai hu nadiya tum ghata mai chhaya tum dhup ho

mai chhaya tum dhup ho

pyar yeh ho javan

pyar abb yeh ho javan aankho me palte-palte

do kadam tum bhi chalo, do kadam ham bhi chale

do kadam tum bhi chalo, do kadam ham bhi chale

aisi hi ik sham thi dekha tha jab aapko

dekha tha jab aapko

tum is dhalti sham ko roko toh kuchh baat ho

roko toh kuchh baat ho

jaan se jayenge

jaan se jayenge sham ke dhalte-dhalte

do kadam tum bhi chalo, do kadam ham bhi chale

manjile pyar ki

manjile pyar ki aayengi chalte-chalte

do kadam tum bhi chalo, do kadam ham bhi chale

Explore this song