Roman script

dil ko laga ke bhul se dil ka nisha mita diya

dil ka nisha mita diya

humne bhari bahar me apna chaman jala diya

apna chaman jala diya

duniya ki har jafa sahi kuch bhi magar na kah sake

duniya ki har jafa sahi kuch bhi magar na kah sake

humne wafa ke naam par jo kuch bhi tha luta diya

jo kuch bhi tha luta diya

shikwa kisi se kya kare marzi hai ye nasib ki

shikwa kisi se kya kare marzi hai ye nasib ki

chaha jise mita diya chaha jise bana diya

dil ka nisha mita diya

leke falak ke chand ko koi kare to kya kare

leke falak ke chand ko koi kare to kya kare

apna bhi ek chand tha duniya ne jo chhupa diya

duniya ne jo chhupa diya

kis ko khabar thi pyar me jal jal ke khak honge hum

kis ko khabar thi pyar me jal jal ke khak honge hum

khak ka kya jaha mili jisko mili uda diya

jisko mili uda diya

Explore this song