Roman script

dil-e nadan tujhe hua kya hai 

aakhir is dard ki dawa kya hai 

dil-e nadan tujhe huaa kya hai 

hum hai mushtaq aur wo bezaar 

hum hai mushtaq aur wo bezaar 

yaa ilaahi ye majara kya hai 

dil-e nadan tujhe huaa kya hai 

main bhi muh mein zaban rakhta hun

main bhi muh mein zaban rakhta hun

kaash puchho ki mudda kya hai 

dil-e nadan tujhe huaa kya hai 

humko unse wafa ki hai umid 

humko unse wafa ki hai umid 

jo nahi jaanate wafa kya hai 

dil-e nadan tujhe huaa kya hai 

jaan tum par nisar karta hun 

jaan tum par nisar karta hun 

main nahi jaanata dawa kya hai 

dil-e nadan tujhe huaa kya hai 

aakhir is dard ki dawa kya hai

Explore this song