Roman script

bikhra ke zulfe chaman me na jaana, kyo

is liye, ki sharma na jaaye phulo ke saaye

mohabbat ke nagme tum bhi na gana,kyo

is liye, ki bhanvara tumhaari hansi na udaye

bikhra ke zulfe chaman me na jaana, kyo

is liye, ki sharma na jaaye phulo ke saaye

mohabbat ke bhanvare ki pahchaan kya

ye kaliyo se puchho hame kyaa pata

mohabbat ke bhanvare ki pahchaan kya

ye kaliyo se puchho hame kyaa pata

harjaayi hogaa

saudayi hoga, ham to nahi hai

kahi sikh lenaa na iski adaa

zubaan par kabhi baat aisi na lana, kyo

is liye, ki duniyaan se rasm-e-vafaa mit na jaaye

mohabbat ke nagme tum bhi na gana,kyo

is liye, ki bhanvara tumhaari hansi na udaye

kaho saath doge kahaan tak meraa

vahaan tak jahaan aasama jhuk rahaa

kaho saath doge kahaan tak meraa

vahaan tak jahaan aasama jhuk rahaa

bolo chalogi, jo tum le chaloge

kahi raah me ho na jana judaa

meraa pyaar dekhega sara zamana, kyo

is liye,  ki vaade kiye aur kar ke nibhaaye

bikhra ke zulfe chaman me na jaana, kyo

is liye, ki sharma na jaaye phulo ke saaye

mohabbat ke nagme tum bhi na gana,kyo

is liye, ki bhanvara tumhaari hansi na udaye

Explore this song