Roman script

apni nazar se dur wo

apni nazar se dur wo unki nazar se dur hum

tum hi batao kya kare majbur tum majbur hum

tum hi batao kya kare

bujh gaya pyar ka chirag dil ka jaha ujad gaya

pyar me hum to lut gaye aapka kya bigad gaya

aapka kya bigad gaya

isse badi saja hai kya

isse badi saja hai kya tumse hai dur dur hum

tumhi batao kya kare

khwab me aao ek bar jakhm-e-jigar dikhaye hum

tum bhale bewafa kaho lab na magar hilaye hum

lab na magar hilaye hum

aansu tapak ke ye kahe

aansu tapak ke ye kahe majbur tum majbur hum

tum hi batao kya kare

sathi nahi koi mera aur koi rajda nahi

aisa luta hai kafila kadmo ka bhi nishan nahi

kadmo ka bhi nishan nahi

itna hi yaad hai hame

itna hi yaad hai hame lut gaye bekasur hum

tum hi batao kya kare majbuar tum majbur hum

tum hi batao kya kare

Explore this song