Roman script

ye mere desh ke amar shahido 

tum to jivan data ho 

jan gan man adinayak jai ho 

bharat bhagya bidata ho 

tum ne hi farmaya tha ke

mout mile to darna kya 

are mout mile to darna kya 

mout se pahle marna kya 

es gulsan ki har fulwadi 

ug ug jhar jhar kahti hai 

phool mre to mar jaye 

par khusboo jinda rahti hai 

aaj tumare desh me yaaro 

macha hua hangama hai 

mutthi bhar chaval ki khatir ladta krishan sudama hai 

etna bukha desh nahi hai 

jitni pet prasti hai 

pet ki khatir saste damo 

bik jati har hasti hai 

fir ke aur juban ke jagre

chidte sabhi pranto me 

ek juban bachari ghir gayi 

pure batis dato me 

charo taraf hai desh ke katil 

desh ke katil 

charo taraf hai desh ke katil 

hatho me talware hai 

aaj hai maa ka chahera utra 

sahmi hui bahare hai 

ye jo huld pas batan me 

aag lagate firte hai 

enko chand pardasi sike nach nachate firte hai 

bahar ki jung jiti ham ne 

pindi or pisavar se 

ander ki jung har na jaye 

kharke ham lahabar se 

apne amar shahido ko 

apne amar shahido ko 

na hargis hame bhulana hai 

koun desh ki jde katta 

janta ko samjana hai 

desh basiyo waqt sambhalo 

gata waqt na aayega 

jai chando ki dal gli to 

gadar wahi mach jayega 

tulsi ke desh pyare o o desh pyare desh pyare 

tulsi ke desh pyare shant rho aabad rho 

jab tak duniya kayam hai 

tum tab tak jindabad rho

Explore this song