Roman script

ab yad na kar bhul ja ae dil wo fasana

wo pyar ki ghadiya wo mohabbat ka zamana

ab yaad na kar

kyo yad tujhe aati hai beeti huyi baate

tu bhul jaa

tu bhul ja wo pyar ke din pyar ki raate

ab tut chuka hai woh tera khwab suhana

wo pyar ki ghadiya wo mohabbat ka zamana

abb yaad na kar

ae jhumti lehrati hui mast hawao

ae pyare najaro, rangin fizaao

tum jake unhe aaj mera haal sunao

tum jake unhe aaj mera haal sunao

keh do ke mera dil hai tumhara hi diwana

keh do ke mera dil hai tumhara hi diwana

hai pyar ki ghadiya hai mohabbat ka zamana

aati hain mere kano me ye kiski sadaye

tum dil se khud hi puch lo hum kyo ye bataye

yaad aane laga, yaad aane laga

yad aane laga, phir mujhe wo bhula fasana

wo pyar ki ghadiya hai mohabbat ka zamana

wo pyar ki ghadiya, pyar ki ghadiya 

aa a ki ab is dard bhare dil ko bhulaye

armano ke gulashan me naye phool khilaye

hum tere hain, dil tera hai ye bhul na jana

bhul na jana

hum tere hain, dil tera hai ye bhul na jana

bhul na jana, ye bhul na jana

Explore this song