Roman script

aa teri tasveer bana lu

mai apni taqdeer bana lu

dil ke kore kagaj par 

ulfat ki lakir bana lu

aa teri tasveer bana lu

mai apni taqdeer bana lu, aa

bas isi tarah tum hansti raho

sharmati raho, bas hansti raho

bas isi tarah tum hansti raho

sharmati raho, bas hansti raho

bas isi tarah yu aankho se

tum nayi ada dikhlati raho

dekh tumhari pyari jhanki

mai bigdi taqdeer bana lu

aa teri tasveer bana lu

mai apni taqdeer bana lu, aa

masti me jhume teri ada

kuch apna pata

na ho dil ka pata

masti me jhume teri ada

kuch apna pata

na ho dil ka pata

main tab tak hosh me, aa na saku

jab tak na milega, man se hawa

dil tere hatho me dekar

dil ka daman rangin bana lu

aa teri tasveer bana lu

mai apni taqdeer bana lu

dil ke kore kagaj par 

ulfat ki lakir bana lu

aa teri tasveer bana lu

mai apni taqdeer bana lu, aa

Explore this song