Aisa Ek Mehman Aaj Ghar Aaya - ऐसा एक मेहमान आज घर आया lyrics by Asha Bhosle

Table of Contents: Lyrics
Aisa Ek Mehman Aaj Ghar Aaya - ऐसा एक मेहमान आज घर आया
Artist:Asha Bhosle
Album:Truck Driver
Year:1970
Genre:song
Lyricist:Jan Nisar Akhtar
Music Director:Sonik Omi

Lyrics

aisa ek mehmaan aaj ghar aaya 
o muddat ka armaan jhum kar gaaya 
rangin dhadkane jaagi, mithi uljhane jaagi
dil mera itraaya, ithlaaya 
ho aisa ek mehmaan aaj ghar aaya 
pyaar ne baaju khole, har saans me khushboo dole 
waqt hai is kadar mehrabaan
ho pyaar ne baaju khole, har saans me khushboo dole
waqt hai is kadar mehrabaan
kise ab hosh hai, fija madhosh hai
kise ab hosh hai, fija madhosh hai
aisa ek mehmaan aaj ghar aaya 
o muddat ka armaan jhum kar gaaya 
kaun ye dil me jhaanke 
yun shokh najar se taaken 
gaal me bhar gayi surkhiyaan
ho o ho kaun ye dil me jhaanke
yun shokh najar se taaken
gaal me bhar gayi surkhiyaan
chaman se khil gaye, jo do dil mil gaye 
chaman se khil gaye, jo do dil mil gaye 
aisa ek mehmaan aaj ghar aaya 
o muddat ka armaan jhum kar gaaya 
rangin dhadkane jaagi, mithi uljhane jaagi
dil mera itraaya, ithlaaya 
ho aisa ek mehmaan aaj ghar aaya
You might also like:
Share: Facebook | Twitter

Song details