Roman script
Tujhe phir haasil kar loon
Iss dil mein daakhil kar loon
Tere iss jism o jaan ko
Main khud mein shamil kar loon
Tujhe phir haasil kar loon
Iss dil mein daakhil kar loon
Tere iss jism o jaan ko
Main khud mein shamil kar loon
Tuhi tha mera kinaara
Tuhi jeene ka sahaara
Mujhe ruswa kiya hai kyun
Hai kehta, dil ye mera..
Kyun bewajah dard itna diya
Kya hui thi khataa yaara
Kyun bewajah dard itna diya
Kya hui thi khataa yaara
Lamhon ki qaid mein main hoon
Bin tere bikhra sa hoon
Saath bitaaye lamhe suhaane
Kya yaad nahi khwaab ke aansu
Sookhe nahi hai
Ashq labon se kehne lage..
Kyun bewajah dard itna diya
Kya hui thi khataa yaara
Kyun bewajah dard itna diya
Kya hui thi khataa yaara
Sookhe huve dariya mein
Toota huaa patthar hoon
Tere khayalon mein dooba hua akshar hoon
Tere bin jee naa paaun
Tere bin mar naa jaaun
Mera gham aur khushi tujhse o saathi
Kyun judaa hai...
Kyun bewajah dard itna diya
Kya hui thi khataa yaara
Kyun bewajah dard itna diya
Kya hui thi khataa yaara
Yaara... O yaara... Yaaara..
Explore this song