Roman script

Tere mere darmiyan hai
Boondon ka kaarwan hai
Dhadkane hain rawaan-dawaan
Qareeb aa meherbaan
Besabr jo ab huaa
Khamoshiyon ko chhoone lagaa
Har qatra tere jism par
Duaaon mein alfaaz sa
Nigaah tujh par khamosh kar
Labon se tujhe peene laga (x2)
Suljha de mujhko tu
Uljha ke apni baahon mein
Samjha de mujhko tu
Basi main teri aahon mein (x2)
Tu hi mera ghar o humsafar
Mujhme rahe tu saari umar
Kaamil hua main paa kar tujhe
Ishqani baarish mujhpe tu kar
Nigaah tujh par khamosh kar
Labon se tujhe peene laga (x2)
Labon se tujhe peene laga
Labon se tujhe peene lagaa...

Song details

Song video

Watch on YouTube

director: Hamil Tamkin Wassan

cast: Raj Singh, Arishfa Khan, Harshita Kushwaha

director of photography: Anas Ali Khan, Sumit Mishra