Roman script

ek sarzameen ne jo zehar ugaya hai

usne usi ka gulistan jalaya hai

chalate hai jo haivaaniyat ke karvaane

usne unhi ke farishton ko sulaya hai

ek sarzameen ne jo zehar ugaya hai

usne usi ka gulistan jalaya hai

chalate hai jo havaaniyat ke karvaane

usne unhi ke farishton ko sulaya hai

nana na na, nana na na, nana na na

nana na na, nana na na, nana na na

farsh pe bikhri wo kitaabe, khamosh padi wo awaaze

chilaati hai wo deeware, dar se dodte wo bechare

nana na na, nana na na, nana na na

nana na na, nana na na, nana na na

zannat ko nafrat hai unse

jahnoom ne bhi unhe thukraya hai

har tadapti insaniyat ne unke liye

bad-duao ka kabristan banaya hai

masoom ki maiyat jab uthi to

mamta bhare kalejon ne khoon bhaya hai

mazhab aur mulak ki baat mat karna

aaj shetano ne farishton ko dafnaya hai

nana na na, nana na na, nana na na

nana na na, nana na na, nana na na

num aankho me jhalakte, bikhre wo safed kapde

kafan se hai jo lipte, dil ke kitne tukde

ek sarzameen ne jo zehar ugaya hai

usne usi ka gulistan jalaya hai

Explore this song