Roman script

zindagi khvaab hai, tha hame bhi pata

par hame zindagi se bahut pyaar tha

sukh bhi the, dukh bhi the, dil ko ghere huye

chahe jaisa tha, rangin sansaar tha

aa gayi thi shikaayat labo tak magar

kise kehte to kya kehna bekaar tha

chal pade dard dekar to chalte rahe

haar kar baith jaane se inkaar tha

chad din tha basera hamaara yaha

ham bhi mehmaan the, ghar to us paar tha

hamsafar ek din to bichhadna hi tha

alvida alvida alvida alvida

Explore this song