Roman script

are ye shahar hai bambai, bam bam bai

ye shahar hai bambai, raunake nayi nayi

usne maje ho maje 

ho maje lut liye, jiski yaha jam gayi

ye shahar hai bambai, bam bam bai

rup ka hai jaal kahi, kate kate baal kahi

dank mare ho pyare 

dank mare, lambi lambi chotiya

tirchi najar dale lewe 

jan bhi nikal, inki aankhe hai ya

hay aankhe hai ya, jadu ki hai gotiya

gori jahan jam gayi 

duniya wahi tham gayi 

usne maje ho maje 

ho maje lut liye, jiski yaha jam gayi

ye shahar hai bambai, bam bam bai

tu maje se ghum yaha 

hotelo ki dhum yaha 

log aate o bandhu

log aate ghar ka khana chhod ke

jaat ho ya laat jaat

chaupaati ki chaat 

aji dhandhe kare

o gorkh dhande kare, lakh ke karod ke 

are lakshmi kahi kam gayi 

kahi chhama chham gayi

usne maje ho maje 

ho maje lut liye, jiski yaha jam gayi

ye shahar hai bambai, bam bam bai

jhuth ka vyopar yaha 

matlabi hai yar yaha

kaam bana o beta 

kaam bana, jhat se najar fer le

dhandhe chale jor se, to bande chaaro aur se

fir chacha mama aa

fir chacha mama, tau kahke gher le

ye toli jaha jam gayi

to dub wo firm gayi

usne maje ho maje 

ho maje lut liye, jiski yaha jam gayi

ye shahar hai bambai, raunake nayi nayi

usne maje ho maje 

ho maje lut liye, jiski yaha jam gayi

ye shahar hai bambai, bam bam bai

Explore this song