Roman script

dharti ki shaan tu hai

manu ki santaan

dharti ki shaan tu hai

manu ki santaan

teri muthhiyon mein band toofaan hai re

tere manushy doot tu bada mahaan hai ae ae

bhool mat

manushy tu bada mahaan hai

manushy tu bada mahaan hai ae ae

bhool mat

manushy tu bada mahaan hai

tu jo chaahe parwat pahaadon ko phod de

tu jo chaahe nadiyon ke rukh ko bhi mod de

tu jo chaahe maati se amrit nichod de

tu jo chaahe dharti ko ambar se jod de

amar tere pran aan

aa aa aa aa

amar tere pran

mila tujhko vardaan

teri aatmaa mein swaym bhagwaan hain re

manushy tu bada mahaan hai ae ae

bhool mat

manushy tu bada mahaan hai

nainon mein jwaal teri

gati mein bhauchaal teri

chhaati mein chhupa mahaakaal hai

prithvi ke laal tera

himgiri sa bhaal teri

bhrakuti mein taandav ka kaal hai

dil ko tu jaan

aa aa aa aa

dil ko tu jaan

zara shakti pahchaan

teri vaani mein yug ka aahwaan hai re

manushy tu bada mahaan hai ae ae

bhool mat

manushy tu bada mahaan hai

dharti ka veer tu hai

agni ka veer tu jo

chaahe to kaal ko bhi thhaam le

paapon ka pralay ruke

pashuta ka sheesh jhuke

tu jo agar himmat se kaam le

mati maan

aa aa aa aa

mati maan

pawan sa tu gatimaan

teri chhab se bhi oonchi udaan hai re

manushy tu bada mahaan hai ae ae

bhool mat

manushy tu bada mahaan hai

manushy tu bada mahaan hai ae ae

bhool mat

manushy tu bada mahaan hai

Explore this song