Roman script

hari hari vasundhara pe nila nila ye gagan

nila nila ye gagan

hari hari vasundhara pe nila nila ye gagan

ke jispe baadlo ki paalki uda raha pawan

dishaye dekho rangbhari

dishaye dekho rangbhari chamak rahi umang bhari

ye kis ne phul phul pe

ye kis ne phul phul pe kiya singar hai

ye kaun chitrakar hai ye kaun chitrakar

ye kaun chitrakar hai 

ye kaun chitrakar hai ye kaun chitrakar

tapasiyo si hai atal ye parvato ki chotiya

ye sarp si ghumeradar, gheradar ghatiya

dhwaja se ye khade huye 

dhwaja se ye khade huye hai vrikash devdaar ke

galiche ye gulab ke, bagiche ye bahar ke

ye kis kavi ki kalpana 

ye kis kavi ki kalpana ka chamatkar hai

ye kaun chitrakar hai ye kaun chitrakar

ye kaun chitrakar hai 

ye kaun chitrakar hai ye kaun chitrakar

kudrat ki is pavitarta ko tum nihar lo

iske guno ko apne man me tum utar lo

chamka lo aaj lalima

chamka lo aaj lalima apne lalat ki

kan kan se jhankati tumhe chabi virat ki

apni to aankh ye hai, us ki hajar hai

ye kaun chitrakar hai ye kaun chitrakar

ye kaun chitrakar hai 

ye kaun chitrakar hai ye kaun chitrakar

ye kaun chitrakar hai ye kaun chitrakar

Explore this song