Roman script

aa hasino ki adaaye bhi, jamane se niraali hain 

wafa ka nam hotho par hai, dil andar se khali hai

ha ye bholi surat wale, dil ka lagana kya jane

aji jab dil chaha laga di aag, bujhna kya jane

aa nahi aata hai is duniya me, jisko pyar ka sapna

jise dekho hathali par, liye phirta hai dil apna

ha ye dil ki daulat wale, dil ka lagana kya jane

inki najar me khel hai ulfat, neki dikhana kya jane

ha ye dil ki daulat wale, dil ka lagana kya jane

na hote hum to aakhir, husnwale bhi kaha hote

na raat itni hasi hoti, na din itne jawa hote

humne to ye ehsaan kiya hai, wo bhi koi ehsan kare

honge hamare dil ke tukde, laakh kisi ka dhyan kare

dard bata kar hasne wale, dard mitana kya jane

ha ye bholi surat wale, dil ka lagana kya jane

na hote hum to kisko, jake dil dete ye diwane

hamare naam kar na sake wafa ye matwale

pyar se khali dil ki duniya, aur bane hai dilwale

rang hai jisme ulfat ka, ham wo fasana kya jane

ha ye dil ki daulat wale, dil ka lagana kya jane

ye jalim dekhne me, kis kadar nadan hote hai

hamari saadagi dekho, in par jan hote hai

jisko chaha apna banaya, apna bana kar chhod diya

ek najar me chin liya dil, ek najar me tod diya

dil ko lubha kar lutne wale, ghar ko basana kya jane

ha ye bholi surat wale, dil ka lagana kya jane

kare hum kyu na bedardo se shikwa, unki chalo ka

hame badnam karte hai, bura ho ishq walo ka

unki wafaye sab batlati, haye wo majbur hue

inki mohabbat honi thi, ji bhul gaye jab dur huve

thes lagakar jane wale, laut ke aana kya jane

ha ye dil ki daulat wale, dil ka lagana 

dil ka lagana, ha dil ka lagana kya jane

ha ye bholi surat wale, dil ka lagana kya jane

ha ye bholi surat wale, dil ka lagana kya jane

ha ye dil ki daulat wale, dil ka lagana kya jane

ha ye bholi surat wale, dil ka lagana kya jane

ha ye dil ki daulat wale, dil ka lagana kya jane

ha ye bholi surat wale, dil ka lagana kya jane

Explore this song