Roman script

yaas ke dar pe jhukaa jaataa hai sar aaj ki raat

yaas ke dar pe jhukaa jaataa hai sar aaj ki raat

nind kyaa maut na aayegi idhar aaj ki raat

ishq ki god me hai husn kaa sar aaj ki raat

chaand se kah do

chaand se kah do ke dekhe na idhar aaj ki raat

dekhe na idhar aaj ki raat

chaand se kah do

bam-o-dar jaise simatate se nazar aate hai

bam-o-dar jaise simatate se nazar aate hai

kabr se tang huaa jaataa hai ghar aaj ki raat

tum jab aaye ho tab aayaa hai bahaaro kaa payaam

tum jab aaye ho tab aayaa hai bahaaro kaa payaam

rashq-e-jannat nazar aane lagaa ghar aaj ki raat

chaand se kah do, chaand se kah do

kitai viraan hai sunsaan hai duniyaa meri

kitai viraan hai sunsaan hai duniyaa meri

dil ki dhadakan se bhi lagne lagaa dar aaj ki raat 

dil ki dhadakan se bhi lagne lagaa dar aaj ki raat 

dil-e-betaab machaltaa hai machal jaane de

dil-e-betaab machaltaa hai machal jaane de

aaj ki raat hamaari hai na dar aaj ki raat

aaj ki raat hamaari hai na dar

ho na dar aaj ki raat

chaand se kah do

chaand se kah do ke dekhe na idhar aaj ki raat

dekhe na idhar aaj ki raat chaand se kah do

dil-e-naakaam ye aalam teri maayusi kaa

dil-e-naakaam ye aalam teri maayusi kaa

pher li jaise khudaa ne bhi nazar aaj ki raat

pher li jaise khudaa ne bhi nazar aaj ki raat

yaas ke dar pe jhukaa jaataa hai sar aaj ki raat

Explore this song