Roman script

vo bhi anjan thi mai bhi ajan tha

usse vada na tha kuchh irada na tha

bas yu hi darling kah diya

o yaro maine panga le liya

vo bhi kuchh vada yu hi darling

pahle to usne choti ko jhatka diya

apni gardan ko thoda sa matka diya

mai ye samajha mere jaal me phas gayi

dekh dale ek pal me sapne kai

phir achanak hi ek hadsa ho gaya

jisake sapno me main tha khoya hua

usne dekha idhar aur na dekha udhar

aur usi darling ne mere gaal par bharpur 

thappad diya yaro maine panga 

pi raha tha main ek din beer bar me

log khoye the music ki jhankar me

ek ladka sharab is kadar pi gaya

apne sathi se takrar karne laga

maine samajhaya use bade pyar se

are fayda kya hai apas ki takrar se

vo nashe me gale mere padne laga

chhod  kar vo use mujhse ladne laga

lal pila mujhe kar diya

hay yaro maine panga 

dur ke ek rishte ki barat me

mera jaanaa hua dulhe ke sath me

maine usse kaha baat hi baat me

shadi vadi mat kar aise halat me

kuchh zara soch to kitni mahagayi hai

vaqt hai bhag ja aage rusvayi hai

saako chauka diya itni si baat me

khub pita mujhe sari barat ne

bhagane ka na mauqa diya

haay yaro maine panga 

ek numaish ka charcha bahut aam tha

shahar ki har gali me bada naam tha

usme kushti ka ek program tha

har vijeta ko do lakh inam tha

not ki chah me ek pahalvan tha

maine kushti ladi itni ghamasan se

dam ukhaane laga pasaliya bol uthi

vo muh mera tod ke rakh diya

uf yaro maine paga

Explore this song