Roman script
ya dil ki suno duniyawalo, ya mujhko abhi chup rehne do mai gam ko khushi kaise keh du, jo kehte hai unko kehne do ya dil ki suno duniyawalo, ya mujhko abhi chup rehne do mai gam ko khushi kaise keh du, jo kehte hai unko kehne do ya dil ki suno duniyawalo yeh phul chaman me kaisa khila yeh phul chaman me kaisa khila, mali ki najar me pyar nahi hasate huye kya kya dekh liya, abb behte hain aansu behne do ya dil ki suno duniyawalo ek khwab khushi ka dekha nahi ek khwab khushi ka dekha nahi, dekha jo kabhi toh bhul gaye manga huwa tum kuchh de na sake, jo tumne diya woh sehne do ya dil ki suno duniyawalo kya dard kisi ka lega koyi kya dard kisi ka lega koyi, itna toh kisi me dard nahi behte huye aansu aur bahe, abb aisi tasalli rehne do ya dil ki suno duniyawalo, ya mujhko abhi chup rehne do mai gam ko khushi kaise keh du, jo kehte hai unko kehne do ya dil ki suno duniyawalo
Song details
- Singer: Hemant Kumar
- Film / album: Anupama (1966)
- Composer: Hemant Kumar
- Lyricist: Kaifi Azmi
- Actor: Dharmendra
- Actor: Sharmila Tagore
- Actor: Tarun Bose
- Actor: Deven Verma
- Actor: Shashikala
- Actor: David
- Actor: Durga Khote
- Actor: Dulari
- Actor: Surekha
- Actor: Naina
- Actor: Amar
- Actor: R P Kapoor
- Actor: Desai
- Actor: Rajdeep
- Actor: Usman
- Actor: Chandra
- Actor: Brahm Bhardwaj
- Actor: Mukund Banerjee
Song video
actor: Dharmendra, Sharmila Tagore, Shashikala, David, Deven Verma