Roman script

daulat ke liye jab aurat ki,ismat ko na becha jayega

chahat ko na kuchla jayega gairat ko na becha jayega

apni kali kartuto par jab ye duniya sharmayegi

wo subah kabhi to aayegi, wo subah kabhi to aayegi

bitege kabhi to din aakhir ye bhukh ke aur bekari ke

tutege kabhi to budh aakhi daulat ki ijaaradaari ke

jab ek anokhi duniyaa ki buniyaad uthaai jayegi

wo subah kabhi to aayegi, wo subah kabhi to aayegi

majabur budhaapaa jab suni raho me dhul na phakega

maasum ladakapan jab gandi galiyo me bhikh na mangega

hak maangne valo ko jis din suli na dikhai jayegi

wo subah kabhi to aayegi, wo subah kabhi to aayegi

Explore this song