Roman script

pyar kya shay hai miya

pyar ki kimat jaano

pyar karle koi, tum use to ganimat jaano

ye duniya pyar ke kisse

ye duniya pyar ke kisse

mujhe jab bhi sunati hai 

wo ladki yaad aati hai 

wo ladki yaad aati hai 

wo ladki yaad aati hai 

kabhi khushbu bhare khat ko 

sirhane rakh ke soti thi 

kabhi yaado ke bisatar se

lipat kar khub roti thi

kabhi aanchal bhigoti thi

kabhi takiya bhigoti thi 

kabhi takiya bhigoti thi 

ye uski saadgi hai jo 

ye uski saadgi hai jo 

hume ab bhi rulati hai

wo ladki yaad aati hai 

wo ladki yaad aati hai 

wo ladki yaad aati hai 

chali aati thi milne ke liye hilebane se

gujarti thi kayamat dil pe

uske laut jane se

mujhe behad suku milta tha uske muskurane se

ha uske muskurane se

utar kar chandni jis waqt

utar kar chandni jis waqt

chhat par muskurati hai 

wo ladki yaad aati hai 

wo ladki yaad aati hai 

wo ladki yaad aati hai 

wo mera naam, wo mera naam, wo mera naam

geeto ke bahane gungunati thi

main rota tha to wo bhi aansu me dub jati thi

main hansta tha to mere sath

wo bhi muskurati thi, wo bhi muskurati thi

abhi tak yaad uski pyar

abhi tak yaad uski pyar

ke wo geet luatati hai 

wo ladki yaad aati hai 

wo ladki yaad aati hai 

wo ladki yaad aati hai 

jaha milte the dono wo thikana yaad aata hai

wafa ka, dil ka, chahat ka

fasana yaad aata hai

ke uska khab me aakar satana yaad aata hai

satana yaad aata hai

wo najuk naram ungli ab 

wo najuk naram ungli ab 

bhi mujhko gudgudati hai

wo ladki yaad aati hai 

wo ladki yaad aati hai 

wo ladki yaad aati hai 

wo college ka zamana

aankh me nashtar chubhota hai

aur uski yaada ka sawan

kitabo ko bhigota hai

akele me abhi mujhko yahi mehsus hota hai

yahi mehsus hota hai

ke jaise aaj bhi college

ke jaise aaj bhi college

me padhne roj jati hai

wo ladki yaad aati hai 

wo ladki yaad aati hai 

wo ladki yaad aati hai

Explore this song