Roman script

wah re wah bhagwan wah re wah bhagwan

wah re wah bhagwan wah re wah bhagwan

kaisi banayi duniya tune

kaisi banayi duniya tune kya hai tumhari shan

wah re wah bhagwan wah re wah bhagwan

wah re wah bhagwan 

arey vidhata jab chalta hai tera chakkarviraz

raja rank bane pal bhar me rank bane samrat

rank bane samrat balwano ko nirbal karta

balwano ko nirbal karta nirdhan ko dhanwan

wah re wah bhagwan wah re wah bhagwan

wah re wah bhagwan

karmo ki rekha ki tune rach di ajab kahani

chakki pis rahi hai dekho mhalo ki maharani

sach ka sath nahi chhodungi

dukh se mai nahi muh modungi

sach ka sath nahi chhodungi

hanste hanste sah lungi sab

hanste hanste sah lungi sab 

dukh sukh ek saman

wah re wah bhagwan wah re wah bhagwan

wah re wah bhagwan

duniya kya hai ek pariksha 

darta kyu nadan, darta kyu nadan

hans hans kar sach ki bedi 

deta ja balidan deta ja balidan 

chahe jaise khel khilave ae mere bhagwan

haar nahi manega balak jab tak tan me pran 

jab tak tan me pran  

wah re wah bhagwan wah re wah bhagwan

wah re wah bhagwan wah re wah bhagwan

duniya hai ek chalti chakki

piste tan man pran ek paat dharti hai dekho

ek paat aasman, ek paat aasman

ye bhi kya andher tumhara abla ka apman

itne par bhi kahlate ho bhakto ke bhagwan

sab kuch dekh rahe ho phir bhi bante ho anjan

soya hai kya chakkar tumhara chakkar sudarshandhari 

laz bachao aaj tumhari sharan padi hai nari

sharan padi hai nari sharan padi hai nari

Explore this song