Roman script

aaya kaha se maal, usko pata hai

kisko pata hai, are usko pata hai

ki kaisa jhol jhal usko pata hai

kisko pata hai, are baba usko pata hai

mera bhi chhota sa sapna hai yaar

chahiye ek bangla aur imported car

khelta hu lottery yeh soch ke har baar

ban jaau mai bhi phir arabpati yaar

kya hogi meri chaal, usko pata hai

kisko pata hai, are baba usko pata hai

tang gali chauda bajar me woh mujhe mili

maine puchha nam kya hai, kehne lagi lily

uski javaani thi phul jaise khili

lut gaye kitno ke dil kamar jo uski hili

mai kyon hua behal, usko pata hai

kisko pata hai, are baba usko pata hai

makhmal sa chikna badan lage mere yar ka

har pal mai rehta hu pyasa didaar ka

kehta hai dil usse dekhu baar baar

uski ada me hai nakhre hazaar

hai honth lal lal, usko pata hai

kisko pata hai, are baba usko pata hai

abb toh bata, abb toh bata

aaya kaha se maal abb toh bata

yeh kaisa jhol jhal, abb toh bata

abb toh bata, abb toh bata, abb toh bata

Explore this song