Roman script

prit ke badhan me bandhi

karti chali pukaar 

nirmohi bhanvra phire jiska jutha payar

un par kaun kare ji vishvaas 

un par kaun kare ji vishvaas 

kie bhanvaro kaa bhes phire kaliyo ke desh

kare rasiyaa jo ghar-ghar vilaas

un par kaun kare ji vishvaas 

un par kaun kare ji vishvaas 

o ye to jug-jug ki hai pyaas 

ye to jug-jug ki hai pyaas 

jise bhanvaraa bujhae kali-kali paas aae

kare puri adhuri jo aas

ye to jug-jug ki hai pyaas 

ye to jug-jug ki hai pyaas 

ras ke lobhi chain na paaen 

ulte apani pyaas badhaaen

ras ke lobhi chain na paaen 

ulte apani pyaas badhaaen

ek pyaali se jo prit lagaaen 

ek pyaali se jo prit lagaaen 

janam-janam ki pyaas bujhaaen

janam-janam ki pyaas bujhaaen

jaise dharati aur aakaash 

jaise dharati aur aakaash

jab dono mile to saari srishti hile

chhaae patajhad me bhi madhumaas

un par kaun kare ji vishvaas 

un par kaun kare ji vishvaas 

suraj hai ek usaki kirane hazaar hai

sarjan haaraa hai use kan-kan se pyaar hai

suraj hai ek usaki kirane hazaar hai

sarjan haaraa hai use kan-kan se pyaar hai

badhan me prit ke kab vo laachaar hai	

vo har kamlini ke man kaa singaar hai  

vo har kamlini ke man kaa singaar hai  

kare ghar-ghar me vo prakaash

kare ghar-ghar me vo prakaash

usakaa hirday vishaal usme navayug ki jwaal

nav-jivan bhari uski shvaas

ye to jug-jug ki hai pyaas 

ye to jug-jug ki hai pyaas 

kamlan ko ravi ek hai

ravi ko kamlini hamse tumko naa sahi

tumse humko ek 

ek din ke devta ho ek din ke naath ho 

jaaye kaha jab pati ne chhod diya saath ho 

ek janm kya hajaaro janm ki jo sangini 

uski preet par kyu maut ka kathor haath ho

ae gagan agan pawan daso dishaaye bol do 

naari ke dharam me kya bharam hai bhed khol do 

jwaal jab bana sindur mehandi bani aag ho 

maang me sawaaru kaise jab luta suhaag ho 

luta suhaag ho, luta suhaag ho 

kiske dar pe ho chale anugamini jawaab do 

kyu suhaagini bane abhagini jawaab do 

hai jagat me jab pati mujhe koi jawaab do 

kis chita me wo jale sati koi jawaab do 

kis chita me wo jale sati koi jawaab do 

koi jawaab do, koi jawaab do

Explore this song