Roman script

ulfat ka rasta hai manzil ki hai talash

hichkole khati kishti ko sahil ki hai talash

aur mujhko mere khoye huye dil ki hai talash

accha hota jo dil me tu aaya na hota

haye rulana tha agar to hansaya na hota

tu aaya na hota

accha hota jo dil me tu aaya na hota

haye rulana tha agar to hansaya na hota

tu aaya na hota

chhodke agar sath jana tha ek din

chhodke agar sath jana tha ek din

to ulfat ka rasta mujhko dikhaya na hota

tu aaya na hota

accha hota jo dil me tu aaya na hota

basai thi nigaho me tasveer kyu meri

basai thi nigaho me tasveer kyu meri

yu najro se apni phir giraya na hota

tu aaya na hota

accha hota jo dil me tu aaya na hota

khiza hi jab lani thi humare chaman me

khiza hi jab lani thi humare chaman me

to phulo se gulshan ye sajaya na hota

tu aaya na hota

accha hota jo dil me tu aaya na hota

haye rulana tha agar to hansaya na hota

tu aaya na hota

Explore this song