Roman script

tumhe maine chaha badi chot khayi

tumhe maine chaha badi chot khayi badi chot khayi

mohabbat ne kya meri halat banai

tumhe maine chaha badi chot khayi

kaha aa gaya mai kaha re kaha

na apni khabar hai re na khud hai parai

tumhe maine chaha badi chot khayi

akele me koi sahara to hota

mera dubta ji ubhara to hota

tumhe dhundte dhundte kho gaya

mai kaha hu kahi se pukara to hota

kahi se tumhari na aawaz aayi

tumhe maine chaha badi chot khayi

yahi hai yahi kya mohabbat ki rashme

na tum mere bas me na dil mere bas me

kisi tarha ae kash mai bhul jau

adao ke wade nigaho ki kasme

wo wade wo kasme magar bewafai

tumhe maine chaha badi chot khayi

mohabbat ke rangi manjar dikha kar

nazar chhin li mujhse nazre churakar

mujhe kahe ko tumne dokhe me rakha

na mere bane mujhko apna bana kar

mita kar mujhe apni duniya basai

tumhe maine chaha badi chot khayi

mohabbat ne kya meri halat banai

tumhe maine chaha badi chot khayi

Explore this song