Roman script

tum roothi raho main manata rahu

tum roothi raho main manata rahu

ki in adaao pe aur pyaar aata hai

in adaao pe aur pyaar aata hai

thode shiqwe bhi ho kuchh shikaayat bhi ho

thode shiqwe bhi ho kuchh shikaayat bhi ho

to maza jine ka aur bhi aata hai

maza jine ka aur bhi aata hai

haay dil ko churaakar le gaya

munh chhupa lena hamse wo aapka

munh chhupa lena hamse wo aapka

dekhna wo bigad kar phir hame

aur daanto me ungli ka daabna

aur daanto me ungli ka daabna

o mujhe teri qasam yahi samaan maar gaya

isi jalwe pe tere dono jahaan haar gaya

tum roothi raho main manata rahu

ki in adaao pe aur pyaar aata hai

in adaao pe aur pyaar aata hai

thode shiqwe bhi ho kuchh shikaayat bhi ho

to maza jine ka aur bhi aata hai

maza jine ka aur bhi aata hai

ye na samjho ki tumse door hu

ye na samjho ki tumse door hu

tere jiwan ki pyaar bhari aas hu

tere jiwan ki pyaar bhari aas hu

chaand ke sang jaise hai chaandni

waise main bhi tere dil ke paas hu

waise main bhi tere dil ke paas hu

haay wo dil hi nahi jo na dhadakna jaane

aur dildaar nahi jo na tadapna jaane

thode shiqwe bhi ho kuchh shikaayat bhi ho

to maza jine ka aur bhi aata hai

maza jine ka aur bhi aata hai

tum roothi raho main manata rahu

ki in adaao pe aur pyaar aata hai

in adaao pe aur pyaar aata hai

chaahe koi dagar ho pyaar ki

khatm hogi na teri-meri daastan

khatm hogi na teri-meri daastan

dil jalegaa to hogi roshni

tere dil me banaaya hain aashiya

tere dil me banaaya hain aashiya

o sharad punam ki rang bhari chaandni

meri sab kuchh meri taqdir meri zindagi

tum roothi raho main manata rahu

ki in adaao pe aur pyaar aata hai

in adaao pe aur pyaar aata hai

thode shiqwe bhi hon kuchh shikaayat bhi ho

to maza jine ka aur bhi aata hai

maza jine ka aur bhi aata hai

Explore this song