Roman script

tum akele to kabhi baag me jaya na karo

tum akele to kabhi baag me jaya na karo

aaj kal phool bhi dilwale hua karte hai

koyi kadmo se lipat baitha to phir

to phir kya hoga, to phir kya hoga

tum akele to kabhi baag me jaya na karo

tum akele to kabhi baag me jaya na karo

aaj kal kaliya badi shokh hua karti hai

koyi shokhi pe utar aayi to phir

to phir kya hoga, to phir kya hoga

tum akele to kabhi baag me jaya na karo

tum kabhi zulf ko chehre pe giraya na karo

tum kabhi zulf ko chehre pe giraya na karo

baz dil wale bhi kamzor hua karte hai

koyi nagin jo samjh baitha to phir

to phir kya hoga, to phir kya hoga

mehfil e husn ki chilman ko uthaya na karo

mehfil e husn ki chilman ko uthaya na karo

bijliyan kali ghatao me chhupi hoti hai

koyi chupke se chamak jaye to phir

to phir kya hoga, to phir kya hoga

tum akele to kabhi baag me jaya na karo

tum kabhi ankh me kaajal bhi lagaya na karo

tum kabhi ankh me kaajal bhi lagaya na karo

inhin ankhon ke jaricho me to ham baste hai

sath kaajal ke jo bah nikle to phir

to phir kya hoga, to phir kya hoga, hay hoy

husn walo ke muqabil kabhi aaya na karo

husn walo ke muqabil kabhi aaya na karo

sharbati ankho ke doro me nasha hota hai

bin piye hi jo bahak jao to phir

to phir kya hoga, to phir kya hoga

tum akele to kabhi baag me jaya na karo

dekho angadayi ko bhi baahe uthaya na karo 

dekho angadayi ko bhi baahe uthaya na karo 

aaj tak chaand ke daman ko na pahuncha koi 

chaand ghabra ke jo gir jaye to phir 

to phir kya hoga, to phir kya hoga

tum khayalo ki ye tasvire banaya na karo 

tum khayalo ki ye tasvire banaya na karo

ret par dur se pani ka ghuma hota hai 

umr bhar pyaas na bhujh payi to phir 

to phir kya hoga, to phir kya hoga

tum akele to kabhi baag me jaya na karo

tum to aaine se bhi aankhe milaya na karo 

tum to aaine se bhi aankhe milaya na karo 

aaj tak aisi hasi cheez na dekhi hogi 

apni surat pe jo mar baithe to phir 

to phir kya hoga, to phir kya hoga 

tum to aaine se bhi aankhe milaya na karo 

tum to aaine se bhi aankhe milaya na karo 

dil na dene pe bahut naaj kiya karte ho 

apani surat pe bigad baithe to phir 

to phir kya hoga, to phir kya hoga  

tum akele to kabhi baag me jaya na karo

tum akele to kabhi baag me jaya na karo

Explore this song