Roman script

tu pyaar maange pyaar de du

tu pyaar maange pyaar de du

o saawariya o baanke saawariya

tu pyaar maange pyaar de du

o saawariya o baanke saawariya

tere hi rang mein main gujariya

rangne aayi chunariya

tu pyaar maange pyaar de du

o saawariya o baanke saawariya

ghunghat mein naina hai

naino mein kajraa hai

paaon mein paayal

paayaliya mein dori

ghnghat mein naina hai

naino mein kajraa hai

paaon mein paayal

paayaliya mein dori

saj ke sajaa ke aayi mein gori

sun ke tori bansuriya

tu pyaar maange pyaar de du

o saawariya o baanke saawariya

chhup ke zamane se nikli bahane se

chhup ke zamane se nikli bahane se

sir pe bhaari gagariyaa uthaye

us pe ye kaanta pag mein haaye

phir bhi dol dagariya

tu pyaar maange pyaar de du

tu pyaar maange pyaar de du

o saawariya o baanke saawariya

main to more piya main to more piya

ho jaaun kya se kya ang se jo mohe tu laga le

main to more piya ho jaau kya se kya

ang se jo mohe tu laga le

rakh de muraliy rakh de

muraliy aa mohe utha le

main hu teri baawariya

tu pyaar maange pyaar de du

o saawariya o baanke saawariya

tere hi rang mein main gujariya

rangne aayi chunariya

tu pyaar maange pyaar de du

o saawariya o baanke saawariya

Explore this song