Roman script

wo jahar de ke kahte hain ki pina hoga 

wo jahar de ke kahte hain ki pina hoga 

aur pita hun to kahte hain ki jina hoga 

teri mohabbat me kadvaa jahar pi jaaun 

o o o o 

mere marne se sukun milta hain, to mar jaaun 

tu apne dar se utha de to, main kidhar jaaun 

o o o o 

teri hi yaad rulaati hain, main jidhar jaaun 

aur tadpa na mujhe, sharbati aankho wali 

aa aa aa aa 

tujhpe kurbaan mere, khun jigar ki laali 

aur tadpa na mujhe, sharbati aankho wali 

mujhko maalum naa tha, tu hain sanam harjaai 

o o o o 

mujhe aansu hain mile, aur mile tanhaai 

tere fareb-e-mohabbat me ye saja paai 

o o o o 

dil kabhi khun huaa, chot jigar par khai 

aur tadpa na mujhe, sharbati aankho wali 

aa aa aa aa 

tujhpe kurbaan mere, khun jigar ki laali 

aur tadpa na mujhe, sharbati aankho wali 

meri chahat ka tune, kya sila diya zalim 

o o o o 

gair ke haath me, ab haath de diya zalim 

uda di khaak, mohabbat ke aashiyaane ki 

o o o o 

utha di bich me diwaar chandi sone ki

aur tadpa na mujhe, sharbati aankho wali 

aa aa aa aa 

tujhpe kurbaan mere, khun jigar ki laali 

aur tadpa na mujhe, sharbati aankho wali 

ye laal joda jo pahna hain, kafan hain mera 

o o o o 

aur doli jo sajaai hain, janaaja hain mera 

tusurukh jodane jab ban ke, dulahan jayegi 

o o o o 

dil tadap jayega aur jaan chali jayegi 

kitani ander hain ye raat muraado wali 

aa aa aa aa 

kitani lambi hain judaai ki ye raat kaali 

aur tadpa na mujhe, sharbati aankho wali 

aa aa aa aa 

tujhpe kurbaan mere, khun jigar ki laali

Explore this song